Main Na Samjha Bulbul Be-baal-o-par Ne Kya Kaha
main na samjha bulbul be-baal-o-par ne kya kaha
gosh-e-gul mein qasid-e-baad-e-sahar ne kya kaha
naza ke dam bhi zi-bas laila ko mane tha hijab
chupke chupke roi aur us nauhagar ne kya kaha
tere wahshi se abas tujh ko KHafa karte hain log
sab ye baaten jhuTh thin us be-KHabar ne kya kaha
sainkaDon ranginiyan paida kin us ne waqt-e-qasd
KHun-e-majnun se zaban-e-neshtar ne kya kaha
nama-bar ko galiyan din us ne sun kar mera nam
munh ko takta rah gaya aur nama-bar ne kya kaha
ho gaya us ko pahan kar aur bhi maghrur wo
kan mein us shoKH ke silk-e-guhar ne kya kaha
joDna un ka nihayat ai 'hawas' dushwar tha
dil ke TukDe dekh mere shishagar ne kya kaha
(544) Peoples Rate This