Main Kaha Bolna Shab Ghair Se Tha Tumko Kya
main kaha bolna shab ghair se tha tum ko kya
muskura kahne laga shauq mera tum ko kya
jo kaha main ki bure taur nikale tum ne
pher kar munh ko laga kahne bhala tum ko kya
shikwa us but ke jafa ka jo kiya main to kaha
tum to duniya mein ho ek ahl-e-wafa tum ko kya
dard-e-sar dushmanon ke un ke hua raat so main
jun hi ghabra ke ye puchha to kaha tum ko kya
tan kar munh pe dupaTTa ba-dam-e-sard kaha
tum lage puchhne kyun haal mera tum ko kya
har ghaDi tum jo malamat mujhe karte ho 'hawas'
aap main dam-e-mohabbat mein phansa tum ko kya
(587) Peoples Rate This