Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe

na paya khoj barson naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe

na ho mumkin pata jin ka unhen koi kahan DhunDhe

talash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishanon ki

koi kapDe mein jaise zaKHm-e-sozan ka nishan DhunDhe

hum us ke zikr hi se KHush kiya karte hain dil apna

sahaara jaise tinke ka ghariq-e-nim-jaan DhunDhe

kidhar ko ruTh kar jata raha ahd-e-shabab apna

na paya is musafir ko hazaron karwan DhunDhe

uThana ho subuk aadam pe jab bar-e-amanat ka

kahan se phir koi is ke liye bar-e-giran DhunDhe

girah sanson mein Dali hai 'hawas' ifraat-e-girya ne

na aah-e-na-tawan aane ko lab tak nardban DhunDhe

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe in PDF.