Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam

yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

gham-e-qais siwa mujhe gham nahin kuchh usi kushta-e-naz-o-ada ki qasam

kabhi kahta tha qais ghazalon se ja kaho naqa yan se kidhar ko gaya

kabhi kahta tha tu hi batae saba tujhe laila ki zulf-e-dota ki qasam

tere kushta-e-gham ka hai haal batar yahi kahiyo jo jaana ho tera udhar

tujhe qasid-e-mauj-e-nasim-e-sahar meri hijr ki shab ki buka ki qasam

aai 'hawas' mujhe phulon ki bu kabhi baiTha na ja ke main bar-lab-e-ju

meri tangi-e-dil to gai na kabhu mujhe bagh-e-jahan ke faza ki qasam

(579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam in PDF.