Us Pari-ru Ne Na Mujhse Hai Nibahi Kya Karun
us pari-ru ne na mujh se hai nibahi kya karun
sar kidhar paTkun kidhar jaun ilahi kya karun
wasl ka din hai wale aankhon ke mere samne
hai khaDi shab-ha-e-hijran ki syahi kya karun
taKHta taKHta ho gaya tufan mein aa kar jahan
tum se ai yar bayan apni tabahi kya karun
hai to wo dushman pe mahzar dekh kar KHun ka mere
sochta hai is pe mein apni gawahi kya karun
TukDe TukDe dil hua jata hai pahlu mein 'hawas'
zabh karti hai butan ki kam-nigahi kya karun
(647) Peoples Rate This