Shauq-e-KHarash-e-Khaar Mere Dil Mein Rah Gaya
shauq-e-KHarash-e-KHar mere dil mein rah gaya
pa-e-talash pahli hi manzil mein rah gaya
main zamzama-sara to chaman se gaya wale
afsana ek giroh-e-anadil mein rah gaya
zanjir-e-mauj panw mein aa kar lipaT gai
tufaniyon ka dhyan hi sahil mein rah gaya
taswir us ki kaise khinchi mani-e-KHayal
hairan jis ki shakl-o-shamail mein rah gaya
kaam apna to tamam kiya yas ne 'hawas'
ji ishtiyaq-e-KHanjar-e-qatil mein rah gaya
(575) Peoples Rate This