Rang-e-gul-e-shagufta Hun Aab-e-ruKH-e-chaman Hun Main

rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main

sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barahman hun main

kasrat-e-jaur-e-yar se sab hain ye mere juzw-e-tan

soz-o-malal-o-yas-o-dard ranj-o-gham-o-mehan hun main

main hun nasim to bahaar main hun shamim zulf-e-yar

go ki nazar se hun nihan daKHil-e-anjuman hun main

sarw-nashin aur hain shaKH-nashin gul aur hain

qumri-e-ashiyan-KHarab bulbul-e-be-watan hun main

KHanda-zanan hain tujh pe go ye KHirdan-e-rozgar

ahl-e-KHirad mein ai 'hawas' raunaq-e-anjuman hun mein

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang-e-gul-e-shagufta Hun Aab-e-ruKH-e-chaman Hun Main In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Rang-e-gul-e-shagufta Hun Aab-e-ruKH-e-chaman Hun Main is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Rang-e-gul-e-shagufta Hun Aab-e-ruKH-e-chaman Hun Main for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Rang-e-gul-e-shagufta Hun Aab-e-ruKH-e-chaman Hun Main in PDF.