Jo Dil Ko Mohabbat Ke Maze Aae Hue Hain

jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain

wo apni tabiat pe abhi chhae hue hain

har baat pe izhaar-e-nazakat hai haya se

sabit hai ki taklif bhi kuchh pae hue hain

kuchh tum ne hamein dil mein samajh rakkha hai samjho

kuchh hum bhi tumhein zehn mein Thahrae hue hain

phir milne ko ji chahta hai yar ka hum se

na-chaar hain ghusse mein qasam khae hue hain

allah ri zid koThe ke chaDhne ko kiya tark

jis roz se hum yar ke ham-sae hue hain

ab dil ko lagate hain zara soch samajh kar

do chaar jagah pahle jo zak pae hue hain

kuchh dar pe jhukae hue sar baiThe hain 'sabir'

us bazm se shayad ki nikalwae hue hain

(496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Dil Ko Mohabbat Ke Maze Aae Hue Hain In English By Famous Poet Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi. Jo Dil Ko Mohabbat Ke Maze Aae Hue Hain is written by Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi. Read famous Poem Jo Dil Ko Mohabbat Ke Maze Aae Hue Hain for youth and Student by Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi. Free Download Jo Dil Ko Mohabbat Ke Maze Aae Hue Hain in PDF.