Waiz Milegi KHuld Mein Kab Is Qadar Sharab

waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab

pani ke badle pite hain ai be-KHabar sharab

aamad mein us ki mast hue kuchh KHabar nahin

saqi hai kaun jam kahan aur kidhar sharab

us qulzum-e-gunah mein Duba hua hun main

jis mein hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab

masti mein un ko lag gai lau aur ghair ki

deni shab-e-visal na thi is qadar sharab

iqrar-e-wasl aur wo mast-e-ghurur-e-naz

aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab

'salik' mile jo bazm mein us ki to lutf hai

warna piya hi karte hain hum apne ghar sharab

(545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waiz Milegi KHuld Mein Kab Is Qadar Sharab In English By Famous Poet Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Waiz Milegi KHuld Mein Kab Is Qadar Sharab is written by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Read famous Poem Waiz Milegi KHuld Mein Kab Is Qadar Sharab for youth and Student by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Free Download Waiz Milegi KHuld Mein Kab Is Qadar Sharab in PDF.