AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak

aahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak

ab tere wahshi se Dar jati hai sahraon ki KHak

is junun-e-ishq ki Thokar mein aa jaane ke baad

aasmanon mein bikhar jati hai sahraon ki KHak

KHushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar

jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak

kaun KHema-zan kahan hai aaie DhunDen yahan

pal mein sab kuchh KHak kar jati hai sahraon ki KHak

ungliyan teri pakaD kar sun le ai baad-e-saba

gulshanon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak

panw phailati hai ye sahra-nawardi jab meri

har taraf 'misdaq' bhar jati hai sahraon ki KHak

(547) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak In English By Famous Poet Misdaque Azmi. AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak is written by Misdaque Azmi. Read famous Poem AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak for youth and Student by Misdaque Azmi. Free Download AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak in PDF.