Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai

ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

har haqiqat yahan tamsil tak aa pahunchi hai

ab uKHuwwat pe bharosa nahin karti duniya

aagahi niyyat-e-qabil tak aa pahunchi hai

ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de

baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai

ab suKHan-war hi nahin KHud ko musawwir likhiye

shaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai

koshish-e-amn-o-aman mein hi yahan logon ki

zindagi shorish-e-tawil tak aa pahunchi hai

be-hisi dekhiye is daur ke insanon ki

jism kya ruh ki tahlil tak aa pahunchi hai

fikr-e-'misdaq' ne hai KHas masafat kar li

aap ki aankh bhi is jhil tak aa pahunchi hai

(550) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai In English By Famous Poet Misdaque Azmi. Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai is written by Misdaque Azmi. Read famous Poem Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai for youth and Student by Misdaque Azmi. Free Download Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai in PDF.