Subh Ka Manzar Hai Lekin Gul Koi Taza Nahin

subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin

ru-e-gulshan par kahin bhi os ka ghaza nahin

TuT kar hum chahne walon se jab bichhaDenge aap

hum hi hum bikhrenge lekin misl-shiraaza nahin

ghaar walon ki tarah nikla hai wo kamre se aaj

us ko is duniya ki tabdili ka andaza nahin

kuchh na kuchh kahte to rahte hain yahan hum log ji

phir bhi is shahr-e-butan mein kai aawaza nahin

is imarat ke muqaddar ki lakiron mein kahin

khiDkiyan to hain magar 'misdaq' darwaza nahin

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Ka Manzar Hai Lekin Gul Koi Taza Nahin In English By Famous Poet Misdaque Azmi. Subh Ka Manzar Hai Lekin Gul Koi Taza Nahin is written by Misdaque Azmi. Read famous Poem Subh Ka Manzar Hai Lekin Gul Koi Taza Nahin for youth and Student by Misdaque Azmi. Free Download Subh Ka Manzar Hai Lekin Gul Koi Taza Nahin in PDF.