Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath

waqt ke zalim samundar mein pareshani ke sath

Dub jata hai koi kyun itni aasani ke sath

meri sanson ki mahak ka bhi bahut charcha hua

raat jab main ne gizari raat ki rani ke sath

main wahi hun aur mera martaba mujh se buland

nam apna le raha hun main bhi hairani ke sath

main ne to kuchh aastin ke sanp ginwae the bas

tum ne kyun aankhen milai hain pashemani ke sath

karbala wale agar hain mohtaram to mohtaram

nosh mat jam-e-shahadat kijiye pani ke sath

ek tabassum ka bharam aabaad honTon par kiye

ji rahe hain log apni apni virani ke sath

mar gaya 'misdaq' bhi sultan-Tipu ki tarah

dekh kar hamraaz apna dushman-e-jaani ke sath

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath In English By Famous Poet Misdaque Azmi. Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath is written by Misdaque Azmi. Read famous Poem Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath for youth and Student by Misdaque Azmi. Free Download Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath in PDF.