Mera Shahid Wo Hamein Ayyar Aata Hai Nazar

mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar

hum ko hum pate nahin jab yar aata hai nazar

kasrat-e-shauq-e-mohabbat mein mujhe har tarah se

jis taraf dekhun ruKH-e-dil-dar aata hai nazar

jaan ka dhoka hamein hota hai rah-e-ishq mein

marg ka har ek dam aasar aata hai nazar

dagh-e-hijran ke siwa laya na ku-e-yar se

jo koi is rah ka bimar aata hai nazar

pa-barahna sina biryan hai tan-e-uryan wahi

jo ki us ka aashiq-e-sarshaar aata hai nazar

rah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yar mein

hai wahi din-dar gar kuffar aata hai nazar

baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein

dana-e-tasbih mein zunnar aata hai nazar

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Shahid Wo Hamein Ayyar Aata Hai Nazar In English By Famous Poet Miskeen Shah. Mera Shahid Wo Hamein Ayyar Aata Hai Nazar is written by Miskeen Shah. Read famous Poem Mera Shahid Wo Hamein Ayyar Aata Hai Nazar for youth and Student by Miskeen Shah. Free Download Mera Shahid Wo Hamein Ayyar Aata Hai Nazar in PDF.