Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam

nahin hai mujh ko ai jamshed tere jam se kaam

jahan-numa hai mujhe apne KHush-KHiram se kaam

sabhi to din wa duniya ka kaam karte hain

mujhe na din na duniya ke intizam se kaam

haram mein shaiKH hain aur dair mein barahman hain

hamein nahin hai unhon ke koi kalam se kaam

kunisht-e-dil mein hai ek josh but-parasti ka

mujhe buton ki hai KHidmat mein ram ram se kaam

gharaz na kufr se kuchh hai na din se matlab

na hai halal se na hai hamein haram se kaam

sanam ke ru-ba-ru rahna mujhe ghanimat hai

na sharm nang se kuchh hai mujhe na nam se kaam

KHafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun

agar na dekhe to phir bhi hai ek salam se kaam

suna suna ke jo karta hai waz-e-husn bayan

paDa hai tujh ko hamesha ye fahm-e-KHam se kaam

tu apne bakne se 'miskin' na hum se dur hua

tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam

(521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam In English By Famous Poet Miskeen Shah. Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam is written by Miskeen Shah. Read famous Poem Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam for youth and Student by Miskeen Shah. Free Download Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam in PDF.