Shama Raushan Jism-e-fanus-e-KHayali Mein Hai Aaj

shama raushan jism-e-fanus-e-KHayali mein hai aaj

ruh jun misl-e-magas makDon ki jali mein hai aaj

hum nahin hargiz hubab-e-bahar-e-imkan dahr mein

sane-e-kaunain shakl-e-be-misali mein hai aaj

kaba-e-dil arsh hai har dam jahan rahta hun main

meri pahchanat ye jism-e-la-yazali mein hai aaj

nam sun kar jo koi aaya hai wo paya hamein

ism-e-azam ki sifat is ism-e-ali mein hai aaj

jannat-ul-firdaus mein ja kar bhala hum kya karen

koi bhi us KHana-e-viran-o-KHali mein hai aaj

hur-o-ghilman-e-bahishti yan mere ham-rah hain

mulk-e-dil-abaad apne hasb-e-haali mein hai aaj

nek-o-bad yaksan hai wajib main yahan imkan mein

chahiye rahat to 'miskin' KHush-KHisali mein hai aaj

(567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama Raushan Jism-e-fanus-e-KHayali Mein Hai Aaj In English By Famous Poet Miskeen Shah. Shama Raushan Jism-e-fanus-e-KHayali Mein Hai Aaj is written by Miskeen Shah. Read famous Poem Shama Raushan Jism-e-fanus-e-KHayali Mein Hai Aaj for youth and Student by Miskeen Shah. Free Download Shama Raushan Jism-e-fanus-e-KHayali Mein Hai Aaj in PDF.