Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast

sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast

hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau bar mast

shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal

phenkte hain sar se apne KHak par dastar mast

sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain

bazm-e-mastan mein wahi mashhur hain sardar mast

be-KHudi diwangi mein is tarah sarshaar hain

bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast

kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido

ku-e-jaanan mein hazaron ho gae hoshyar mast

kaifiyat donon jahan ki hai wahan hasil tamam

jab nazar aawen kisi ja par kahin do-chaar mast

haal aa jae abhi sab sakinan-e-charKH ko

tu bhi ho jawe ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast In English By Famous Poet Miskeen Shah. Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast is written by Miskeen Shah. Read famous Poem Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast for youth and Student by Miskeen Shah. Free Download Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast in PDF.