Ummid Hai Ki Mujhko KHuda Aadmi Kare

ummid hai ki mujh ko KHuda aadmi kare

par aadmi kare to bhala aadmi kare

is tarah wo fareb se dil le gae mera

jis tarah aadmi se dagha aadmi kare

bhatin nahin kuchh us ke nikalti hai apni jaan

kya aise bewafa se wafa aadmi kare

mara hai kohkan ne sar apne pe tesha aah

dil ko lagi ho choT to kya aadmi kare

gar kuchh kaha bigaD ke main bas us ne hans diya

kya aise aadmi ka gila aadmi kare

guzra main aisi chah se ta-chand ham-nashin

baiTha kisi ke sar ko laga aadmi kare

hai ishq bad-maraz koi jata hai 'muntazir'

kya KHak is maraz ki dawa aadmi kare

(500) Peoples Rate This

Miyan Noor-ul-Islam Muntazir's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ummid Hai Ki Mujhko KHuda Aadmi Kare In English By Famous Poet Miyan Noor-ul-Islam Muntazir. Ummid Hai Ki Mujhko KHuda Aadmi Kare is written by Miyan Noor-ul-Islam Muntazir. Read famous Poem Ummid Hai Ki Mujhko KHuda Aadmi Kare for youth and Student by Miyan Noor-ul-Islam Muntazir. Free Download Ummid Hai Ki Mujhko KHuda Aadmi Kare in PDF.