Shuur-e-zat ThoDa Sa Dil-e-nadan Mein Rakhte Hain

shuur-e-zat thoDa sa dil-e-nadan mein rakhte hain

jamal-e-agahi jahl-e-KHirad-afshan mein rakhte hain

chaman kaisa bayaban kya simaT aaegi ye duniya

junun ke dam se itni wusaten daman mein rakhte hain

nazar ke samne rahta hai aks-e-gardish-e-dauran

hum aaina ko dil ke rauzan-e-zindan mein rakhte hain

hujum-e-gham mein yaadon ke nihan-KHane mahak uTThe

shagufe lala-zaron ke dil-e-viran mein rakhte hain

hamare soz-e-dil se nur barsati hain wo aankhen

hum apni shama taq-e-abru-e-jaanan mein rakhte hain

hamari har nazar un ki nazar mein Dub jati hai

hum apna tir un ke tir ke paikan mein rakhte hain

koi dastak koi aahaT koi jhonka koi KHushbu

'faridi' dil ko bas zinda isi arman mein rakhte hain

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shuur-e-zat ThoDa Sa Dil-e-nadan Mein Rakhte Hain In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Shuur-e-zat ThoDa Sa Dil-e-nadan Mein Rakhte Hain is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Shuur-e-zat ThoDa Sa Dil-e-nadan Mein Rakhte Hain for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Shuur-e-zat ThoDa Sa Dil-e-nadan Mein Rakhte Hain in PDF.