Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath

muft hai KHun-e-jigar azmat-e-kirdar ke sath

ashk milte hain yahan dida-e-bedar ke sath

hum ne manga tha sahaara to mili is ki saza

ghaTte baDhte rahe hum saya-e-diwar ke sath

aaj to hazrat-e-naseh bhi lipaT kar mujh se

raqs karte rahe zanjir ki jhankar ke sath

dil-e-barbaad pe hai saya-fagan yaad teri

saya-e-fazl-e-KHuda jaise gunahgar ke sath

dil mein us shahr ke kuchh aks abhi baqi hain

luT gae hum bhi jahan garmi-e-bazar ke sath

aisi basti se to wo dasht kahin behtar tha

aable mil ke jahan rote the har KHar ke sath

ab to ek KHwab si lagti hai haqiqat ye bhi

rabt tha hum ko kisi yar-e-tarah-dar ke sath

dil mein mere bhi yaqin aur guman sath rahe

jaise inkar tere lab pe hai iqrar ke sath

aise anmol na the hum ki na bikte lekin

do qadam chal na sake apne KHaridar ke sath

hasil-e-fan hain 'faridi' wahi ashaar-e-ghazal

KHun-e-dil jin mein ho rangini-e-afkar ke sath

(532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath in PDF.