Milti Hai Nazar Un Se To Kho Jate Hain Hum Aur

milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur

manzil ke qarib aa ke bahakte hain qadam aur

mare hue hain kashmakash-e-wahm-o-yaqin ke

TuTe hue har but se tarashe hain sanam aur

ye baat samajhte hi nahin hazrat-e-naseh

silta hai agar chaak to khulta hai bharam aur

tadbir ka har naqsh dil-awez hai lekin

hai katib-e-taqdir ka andaz-e-raqam aur

jazbaat pe mohren na lagi hain na lagengi

hoti hai zaban band to chalta hai qalam aur

shayad ye sila tark-e-talab ka hai 'faridi'

baDhti hi gai wusat-e-daman-karam aur

(528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milti Hai Nazar Un Se To Kho Jate Hain Hum Aur In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Milti Hai Nazar Un Se To Kho Jate Hain Hum Aur is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Milti Hai Nazar Un Se To Kho Jate Hain Hum Aur for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Milti Hai Nazar Un Se To Kho Jate Hain Hum Aur in PDF.