Ek Nashtar-e-nigah Hai Is Se Ziyaada Kya

ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya

dam bhar ki aah aah hai is se ziyaada kya

gardan se tauq-e-KHauf-o-talab ko nikali dekh

phir koi baadshah hai is se ziyaada kya

taqat agar hai panw mein sahra ka KHauf kyun

bas ek kushada rah hai is se ziyaada kya

wo to hawa thi band na muTThi mein ho saki

ab ranj KHwah-maKHwah hai is se ziyaada kya

baalon ko apne chhoD meri sham-e-gham ko dekh

phir dekh kuchh siyah hai is se ziyaada kya

har-chand aaj bhi hai wahi kasrat-e-umid

haari hui sipah hai is se ziyaada kya

ek kankari uchhaal ke toDo tilism-e-tab

pani mein aks-e-mah hai is se ziyaada kya

hain kaamyab jin ka yahan ji nahin laga

duniya ki dars-gah hai is se ziyaada kya

ghaTta hi jaega ye latafat ke sath sath

ye jism zad-e-rah hai is se ziyaada kya

KHun-e-jigar se sher likho aur ma-hasal

dam bhar ki wah-wah hai is se ziyaada kya

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nashtar-e-nigah Hai Is Se Ziyaada Kya In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Ek Nashtar-e-nigah Hai Is Se Ziyaada Kya is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Ek Nashtar-e-nigah Hai Is Se Ziyaada Kya for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Ek Nashtar-e-nigah Hai Is Se Ziyaada Kya in PDF.