Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin

gae hain des ko hum apne chhoD kar hi nahin

muhajrat ke liye shart ab safar bhi nahin

isi jahan mein rahte hain KHub-ru aise

yaqin mujh ko hua us ko dekh kar bhi nahin

mere wajud mein ghul-mil ke kar gaya tanha

wo ek shaKHs jo aaya kabhi nazar bhi nahin

wo ek kitab gai thi dilon se taqon par

ab aisi dur hui hai ki taq par bhi nahin

gham aur KHushi nahin mauquf rone hansne par

aur in hawalon se izhaar mo'tabar bhi nahin

(500) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin in PDF.