Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena

giran tha matn mushkil aur bhi tabir paDh lena

to aasan kar liya dil-KHwah ek tafsir paDh lena

guzishta shab ishaaron se likha kuchh chand par main ne

tumhein malum hoga phir bhi wo tahrir paDh lena

mahaarat ho gai chehron ko paDh paDh kar hamein itni

ki ab aasan hai chehre ki jagah taswir paDh lena

mulaem ungliyon ki har ibarat yaad hai mujh ko

har ek angushtari ko halqa-e-zanjir paDh lena

mili thi ek yahi shorish-zada dil ki amal-dari

so likh di hai tumhaare nam ye jagir paDh lena

agar tariKH kuchh alfaz likkhe agli sadiyon mein

to kya kya log ab hain qabil-e-tahrir paDh lena

mohabbat KHun ban kar jism mein dauDe to kya kahna

bas itna kah diya baqi kalam-e-'mir' paDh lena

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena in PDF.