Habs Talluqat Mein Dur Na Ja Idhar Udhar

habs talluqat mein dur na ja idhar udhar

ghair hawa nahin ki bas chum liya idhar udhar

dekh rahi hai kisht-e-dil ashkon ki bewafaiyan

ab ke baras baras gai sari ghaTa idhar udhar

jaan meri shikast se shor tera hai har taraf

sath mere bikhar gai meri nawa idhar udhar

dil ko mere tera ye shauq tujh se bhi tha aziz-tar

teri gali ke aas-pas main jo raha idhar udhar

dekhiye kab kahan koi kaise ise uchhaal de

sikka-e-waqt par hain naqsh shah-o-gada idhar udhar

rah mein ruk ke kis liye puchhen kisi se rasta

KHwab ka ye safar hai aur KHwab mein kiya idhar udhar

hosh jo tha so ek umr mujh ko kahin na le gaya

kam to nahin ki le gaya us ka nasha idhar udhar

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Habs Talluqat Mein Dur Na Ja Idhar Udhar In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Habs Talluqat Mein Dur Na Ja Idhar Udhar is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Habs Talluqat Mein Dur Na Ja Idhar Udhar for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Habs Talluqat Mein Dur Na Ja Idhar Udhar in PDF.