Hansi Mein Tal Rahe Ho Tum Uske Rone Ko

hansi mein Tal rahe ho tum us ke rone ko

na dekhta ho wo hone se pahle hone ko

salam bhuk ko un ki karo jinhon ne kabhi

bachae rakkha tha thoDa anaj bone ko

diye gae hain KHazane unhi ko ahd-ba-ahd

raha tha kuchh bhi nahin jin ke pas khone ko

ghalat nahin ki lagati hain par maujen bhi

jo jaanti hain faqat Dubne Dubone ko

bikharna ye hai ki mayus lauT jati hai

jo raat aati hai mujh mein mujhe samone ko

jo aaj dekho to baiThe hain nil-kanTh bane

gae the hum bhi samundar kabhi bilone ko

pata chala ki ye aankhen mili hain us ke liye

shab-e-firaq ke gul raat bhar pirone ko

kuchh aansuon se hi nikle to nikle kaam koi

wo dagh hun ki samundar bhi kam hain dhone ko

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansi Mein Tal Rahe Ho Tum Uske Rone Ko In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Hansi Mein Tal Rahe Ho Tum Uske Rone Ko is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Hansi Mein Tal Rahe Ho Tum Uske Rone Ko for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Hansi Mein Tal Rahe Ho Tum Uske Rone Ko in PDF.