Hone Ko Ab Kya Dekhiye Kya Kuchh Hai Aur Kya Kuchh Nahin

hone ko ab kya dekhiye kya kuchh hai aur kya kuchh nahin

manzar abhi hai samne wo bhi ki jab tha kuchh nahin

us ki hina par war de fil-faur dil ki saltanat

pyare kisi ke hath mein ta-der rahta kuchh nahin

mat jaan dil ke samne kafi hai ek chehra tera

aise andhere ke liye itna ujala kuchh nahin

kitne gharaunde ret ke maujen baha kar le gain

har bar ek dil ke siwa aise mein TuTa kuchh nahin

surat ko mani ke tain darkar hai kuchh fasla

jab tak tha aage aankh ke main ne to dekha kuchh nahin

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hone Ko Ab Kya Dekhiye Kya Kuchh Hai Aur Kya Kuchh Nahin In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Hone Ko Ab Kya Dekhiye Kya Kuchh Hai Aur Kya Kuchh Nahin is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Hone Ko Ab Kya Dekhiye Kya Kuchh Hai Aur Kya Kuchh Nahin for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Hone Ko Ab Kya Dekhiye Kya Kuchh Hai Aur Kya Kuchh Nahin in PDF.