Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye

hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye

ki jo hai maut us ko jaante hain zindagi hai ye

jo manzar hai so aa kar muKHtalif hai sab ki aaankhon mein

phir aankhen dekhti hain kya tamasha didani hai ye

yahan dasht-e-talab mein ek main hun aur siwa mere

sarabon ko nichoDe ja rahi ek tishnagi hai ye

andhere dil ne ki thi aarzu us ke ujalon ki

meri aankhen hi chhine le raha hai raushni hai ye

us ek be-mehr se tark-e-talluq par nadamat kya

gawara kar liye kaise sitam sharmindagi hai ye

bahut dekha hai tum ne husn-e-sannai magar us ko

jo dekho to kahoge wah-wa barjastagi hai ye

kashish mardum ki ye hai ya numud-e-najm-e-aswad hai

wafur-e-nur hai ya intiha-e-tirgi hai ye

musafir daere ke hum guman-e-istaqamat mein

bahut aage nikal aae hain yani wapsi hai ye

(590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye in PDF.