Is Be-KHudi Mein RuKHsat KHuddari Ho Gai Hai

is be-KHudi mein ruKHsat KHuddari ho gai hai

mushkil hui jo aasan dushwari ho gai hai

ek dagh-e-dil pe bhi ab apna nahin tasarruf

ye sab zamin goya sarkari ho gai hai

is bojh ki na puchho gaThri hai dil ye jis ko

jitna kiya hai halka kuchh bhaari ho gai hai

shikwa nahin sitam ka par ab ye dekhta hun

tum ko sitamgari ki bimari ho gai hai

koi talab na hasrat kuchh shauq hai na aadat

ab teri yaad meri lachaari ho gai hai

lahje ki pairwi se tapta hai 'mir' koi

wo 'mir' KHatm jis par fankari ho gai hai

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Be-KHudi Mein RuKHsat KHuddari Ho Gai Hai In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Is Be-KHudi Mein RuKHsat KHuddari Ho Gai Hai is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Is Be-KHudi Mein RuKHsat KHuddari Ho Gai Hai for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Is Be-KHudi Mein RuKHsat KHuddari Ho Gai Hai in PDF.