Subuk Mujhko Mohabbat Mein Ye Kaj-uftad Karta Hai
subuk mujh ko mohabbat mein ye kaj-uftad karta hai
jo main hargiz na karta wo mera ham-zad karta hai
bikhar kar bhi usi ko DhunDhti hain har taraf aankhen
jo mujh ko ek nigah mein ek se la-tadad karta hai
hui hain shor-e-dil mein gharq tabiren sadaon ki
magar itni KHabar hai koi kuchh irshad karta hai
qayamat hai jo ab ye KHuftagan-e-KHak-e-dil jagen
koi is kohna virane ko phir aabaad karta hai
kaha ho kuchh kabhi mujh se to ai chaaragaro jaanun
main kya kah dun dil-e-bimar kis ko yaad karta hai
saramad ishq hai pata hai koi dil nasibon se
phir apne waste mashuq KHud ijad karta hai
bura kahna mujhe us ka wazifa hai to hone do
wo KHud ko yun mere aaseb se aazad karta hai
(458) Peoples Rate This