Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu

talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu

taDap rahi hai har taraf lahuluhan aarzu

phira ke dida-e-tapan mein mom ke mujassame

kahan kahan karegi did ka ziyan aarzu

zara sa hath kya laga habab sa bikhar gaya

jise samajh rahi thi ek aasman aarzu

tu chashm hi mein rah agar pasand hai kushadgi

ki dil hai tang aur is mein yak jahan aarzu

isi ke hain sabab se sab ye hijr ki saubaten

kahan se aa gai hamare darmiyan aarzu

tu aaftab hai main gul dua tere sukun ki

kisi ki shan qahr hai kisi ki shan aarzu

ilahi KHair itne sin pe aandhiyon ki dosti

abhi to sikh pai bhi nahin uDan aarzu

shajar hajar zamin aasman sab ko zoaf hai

magar ye ek jawan ki rahi jawan aarzu

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu in PDF.