Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi

paiham udasiyon se bayaban hai zindagi

dil mein bahaar ho to gulistan hai zindagi

ai intiha-e-kashmakash-e-shaiKH-o-barhman

hindu hai zindagi na musalman hai zindagi

be-chainiyon mein gharq hai sarmaya-e-hayat

tabir-ha-e-KHwab-e-pareshan hai zindagi

hai maut iKHtitam pareshaniyon ka nam

jab tak ye zindagi hai pareshan hai zindagi

ghafil nahin to kyun nahin anjam par nazar

har lahza har-nafas jo gurezan hai zindagi

hain muKHtalif fasana-e-hasti ki surKHiyan

pinhan kahin kahin pe numayan hai zindagi

nazzara-e-jamal se ghash hun main ai 'safir'

behosh mujh ko dekh ke hairan hai zindagi

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi in PDF.