Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain

ulfat ho to ulfat ke sahaare bhi bahut hain

aankhon mein mohabbat ke ishaare bhi bahut hain

himmat hai to mayus na ho Dubne wale

tufan hain maujon ke sahaare bhi bahut hain

ai jalwa-e-rangin ke ziya dekhne walo

hon aankh agar un ke nazare bhi bahut hain

apnon ne to mear-e-wafa hi na bataya

is rah mein ehsan tumhaare bhi bahut hain

ji bhar ke zara dekh to lun dur se gul-rang

saqi mujhe itne hi sahaare bhi bahut hain

us bazm ki ranginiyan hain did ke qabil

ek chand agar hai to sitare bhi bahut hain

hai kaun 'safir' aisa jo ban jae sahaara

dil toDne wale to hamare bhi bahut hain

(495) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain in PDF.