Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain

un ke jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain

mere aaghaz ab anjam tak aa pahunche hain

hazrat-e-KHizr pareshan na ho aaram karen

hum bhi ab manzil-e-aram tak aa pahunche hain

tohmat-e-ishq mein hum aaj akele to nahin

wo bhi ab markaz-e-ilzam tak aa pahunche hain

mai-kasho muzda-e-masti ki janab-e-waiz

baDh ke ab tazkira-e-jam tak aa pahunche hain

us ko meraj-e-wafa kyun na kahun jab akasr

bil-irada wo mere nam tak aa pahunche hain

ye mera zabt ki main apni jagah hun mohtat

dar-haqiqat mujhe paigham tak aa pahunche hain

dekh kar tang-dili bazm mein saqi ki 'safir'

rind bhi jurat-e-nakaam tak aa pahunche hain

(501) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain in PDF.