Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti

ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

bhulane par bhi zalim yaad us ki kam nahin hoti

ye matlab-ashna duniya ye zalim bewafa duniya

sharik-e-aish kar lije sharik-e-gham nahin hoti

adam ke jaane wale qafile din-raat chalte hain

magar is anjuman ki dilkashi kuchh kam nahin hoti

na puchh ai ham-nashin rudad-ha-e-sham-e-gham hum se

qayamat ki sahar hoti hai sham-e-gham nahin hoti

bhulaya hai mujhe tu ne teri barham-mizaji ne

magar bedard teri yaad phir bhi kam nahin hoti

nahin waqif tu ai dil aatish-e-soz-e-mohabbat se

ye daulat jis qadar aati hai ghar mein kam nahin hoti

'safir' ab tak to rudad-e-mohabbat KHam hai teri

abhi to aankh bhi fart-e-alam se nam nahin hoti

(501) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti in PDF.