Hail Hai Hijab-e-sharm-o-haya Didar To Kya Guftar To Kya

hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya

mubham hain ishaare sab us ke inkar to kya iqrar to kya

altaf-o-karam ki barish bhi jo mujh pe kare sansar to kya

jab us ne na puchha haal mera daryaft karen aghyar to kya

hai dar-ba-dari qismat meri shorida-sari tu hi le chal

taskin-e-dil-e-mahzun ke liye gulzar to kya kohsar to kya

hain azm-e-musafir ke aage KHatraat masafat hech bahut

manzil ki talab hai dil mein agar ho rahguzar dushwar to kya

tang aa ke mohabbat tark na ki hum garche rahe nakaam sada

sarshaar the lazzat-e-hasrat-o-gham se hote bhala bezar to kya

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hail Hai Hijab-e-sharm-o-haya Didar To Kya Guftar To Kya In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Hail Hai Hijab-e-sharm-o-haya Didar To Kya Guftar To Kya is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Hail Hai Hijab-e-sharm-o-haya Didar To Kya Guftar To Kya for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Hail Hai Hijab-e-sharm-o-haya Didar To Kya Guftar To Kya in PDF.