Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal

jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal

us ne puchha na hamare dil-e-bimar ka haal

shama bhi jalne pe aamada thi parwana bhi

ek jaisa hi tha matlub-o-talabgar ka haal

sogwari mein hamari the barabar ke sharik

hum se milta tha hamare dar-o-diwar ka haal

sarw-e-timsal hai qamat mein shabahat mein gulab

kya bayan samne us ke karen gulzar ka haal

us taraf jo bhi gaya lauT ke aaya na kabhi

puchhiye kis se maqam-e-rasam-o-dar ka haal

sab ne dil tham liya dekh ke us ko 'abid'

ek hi jaisa hua kafir-o-dinda ka haal

(516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal in PDF.