Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi

kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi

wo mere sath rahta hai nahin hote hue bhi

musalsal aazmaish mein mujhe zalim ne rakkha

kiya main ne nahin sajda jabin hote hue bhi

musalsal marte rahte hain shab-KHun zehn-o-dil par

azizan raftagan zer-e-zamin hote hue bhi

guzari hum ne sari zindagi ishq-e-butan mein

mukammal us ki wahdat par yaqin hote hue bhi

liye phirta hai qatil hath mein KHanjar barahna

muhayya pairahan mein aastin hote hue bhi

main zarra KHak ka hun wo sitara aasman ka

wo mujh se dur hai mere qarin hote hue bhi

na-jaane kaun si miTTi ka 'abid' bhi bana hai

hamesha KHush nazar aaya hazin hote hue bhi

(531) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi in PDF.