ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein

chhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein

ek shanawar tha jo utra gahre pani mein

phaila hua tha dam-e-falak bhi aaina-surat

us ne bhi parwaz bhari thi kuchh hairani mein

dud-e-charagh-e-subh mein jaise sahmi simTi raat

raushan hai fani manzar us ka la-fani mein

thaki thaki aankhon mein pareshan us ka KHwab-e-visal

hijr ki lambi raat kaTi bas ek kahani mein

saya-e-arz-o-talab ko raunda us ne pairon se

us ki ana ka suraj tha us ki peshani mein

ab us ke izhaar ko dena chahe jo bhi nam

us ko jo kahna tha kah gaya apni bani mein

ek ek kar ke 'ramz' bujhe jate hain sare charagh

main hun apna KHauf apni baDhti virani mein

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein in PDF.