Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage

diye munDeron ke raushan qatar hone lage

lawen tarashne wale farar hone lage

dabiz pardon pe manus lahren uThne lagi

hawa ke hath darichon se par hone lage

adu bhi bharne lage dam teri rifaqat ka

ab aise-waise tamashe bhi yar hone lage

ab aane wali kisi rut ka intizar ho kya

jaDon se apni shajar daghdar hone lage

falak ke purze ab uDne mein koi der nahin

pahaD sarke zaminon mein ghaar hone lage

khula mahaz to hogi hamari paspai

hum apne KHauf-e-darun ka shikar hone lage

safar hai saKHt bahut saKHt agle moD ke baad

chamak rahe the jo manzar ghubar hone lage

na koi mauj-e-tamasha na aks-e-hairat 'ramz'

hamare aaine be-e'tibar hone lage

(492) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage in PDF.