Lafz O Bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur

lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur

meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur

bast-o-kushad-e-bazu kya hai sanson ki halchal ke siwa

chand ghira ho jab maujon mein baDhti hai tughyani aur

sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain

ab is shorish-e-ab-o-gil ko miTTi aur na pani aur

dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut

main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur

main hun ghazal-e-mushk-guzida mera safar hai tir ke sath

jab hoti hai tez ye KHushbu baDhti jaulani aur

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz O Bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Lafz O Bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Lafz O Bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Lafz O Bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur in PDF.