Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur

lafz-o-bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur

meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur

bast-o-kushad-bazad kya hai sanson ki halchal ke siwa

chand ghira ho jab maujon mein baDhti hai tughyani aur

sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain

ab is shorish-e-ab-o-gil ko miTTi aur na pani aur

dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut

main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur

main hun ghazal-e-mushk-gazida mera safar hai tir ke sath

jab hoti hai niz ye KHushbu baDhti hai jaulani aur

umr ke gharb-e-siyah mein kaisa Dub raha hai mehr-e-shabab

dekh sako to dekh lo dam-bhar 'ramz' ye sham suhani aur

(485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur in PDF.