Lafzon Ka Nairang Hai Mere Fan Ke Jadu Se

lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se

ek ek rang alag kar sakta hun main KHushbu se

donon pareshan donon bojhal donon hi ghanghor

gahra rishta hai baadal ka tere gesu se

meri peshani par jhalki mere lahu ki aag

raat-Dhale kuchh chand sa ugna us ke pahlu se

achchhi surat koi achanak samne jab aa jae

apni hi ungli kaT jati hai apne chaqu se

hath ko hath ghani zulmat mein jab na samjhai diya

samt mili hai ek aawara tanha jugnu se

raat gae jab so jata hai pani gahri nind

naghmon ki lahren uThti hain chalte chappu se

'ramz' uThe hain hum bhi sambhaale apna tir kaman

hum ko bhi wahshat karni hai aaj ek aahu se

(534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafzon Ka Nairang Hai Mere Fan Ke Jadu Se In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Lafzon Ka Nairang Hai Mere Fan Ke Jadu Se is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Lafzon Ka Nairang Hai Mere Fan Ke Jadu Se for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Lafzon Ka Nairang Hai Mere Fan Ke Jadu Se in PDF.