Mere Lahu Ki Sarshaari Kya Uski Faza Bhi Kitni Der

mere lahu ki sarshaari kya us ki faza bhi kitni der

tere kaf-e-nazuk pe rahega rang-e-hina bhi kitni der

us ki nazar ki halki si jumbish kya kya jauhar rakhti hai

la sakta hai tab-e-tamasha aaina bhi kitni der

ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya

us ke honTon par chahat ka phul khila bhi kitni der

koi takallum koi ishaara koi aahaT pas nahin

zinda rahe virana-e-jaan mein dil ki sada bhi kitni der

bikhra din atraf-e-junun mein kaisi kaisi KHushbuen

kucha-e-yar mein Thahri hogi baad-e-saba bhi kitni der

mere dil mein gahrai tak zaKHm hain andhi KHwahish ke

aur abhi honTon pe rahega zahr-e-dua bhi kitni der

apni ek ada rakhti hai us ke baad ki gudazi bhi

kuchh to socho us pe chalega sehr-e-qaba bhi kitni der

aage dhund hai be-samti ki pichhe ghubar-e-gum-shudagi

mere sar mein sath rahegi meri ana bhi kitni der

us ke taghaful ka bhi bharam rakh us se itni chheD na kar

'ramz' barasti hai be-mausam koi ghaTa bhi kitni der

(522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Lahu Ki Sarshaari Kya Uski Faza Bhi Kitni Der In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Mere Lahu Ki Sarshaari Kya Uski Faza Bhi Kitni Der is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Mere Lahu Ki Sarshaari Kya Uski Faza Bhi Kitni Der for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Mere Lahu Ki Sarshaari Kya Uski Faza Bhi Kitni Der in PDF.