Na Sath Aa Mere Main Girte Faslon Mein Hun

na sath aa mere main girte faslon mein hun

ghubar-e-dasht hun aur tez aandhiyon mein hun

na jaane qasd kahan ka hai kyun nikale qadam

zamana bit gaya kaisi hijraton mein hun

KHud apne sham o sahar mein ulajh gaya aisa

main aasman hun magar apni gardishon mein hun

bahut kushada falak hai baDi basit zamin

magar ye sab main sameTe hue paron mein hun

uThae phirte hain sar mera ek neze par

buland hun main yahan bhi jo dushmanon mein hun

koi bhi hadsa-e-jaan ho us ka manzar mein

uTha ke dekh lo aKHbar surKHiyon mein hun

koi sada koi halchal nahin hai bahar ki

main apni gunj mein hun apni aahaTon mein hun

koi bhi aks nahin jis mein mera chehra ho

main aaina hun magar kitni hairaton mein hun

nasha hai nind ka aankhon mein TuTta hai badan

ki jaise main bhi lagatar ratjagon mein hun

ki jaise mujh ko Duboya gaya hai pani mein

ki jaise main koi shatir shanawaron mein hun

ki jaise mujh ko chaDhaya gaya hai suli par

ki jaise main bhi baDe unche sar-phiron mein hun

ki jaise mujh pe hai chhaya shikar ka aaseb

ki jaise main bhi KHatarnak jangalon mein hun

ki jaise log mujhe dekhne ko aae hain

ki jaise main luTe-haare musafiron mein hun

rahun main KHud ko sameTe hue sambhaale hue

ye 'ramz' meri saza hai ki doston mein hun

(569) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sath Aa Mere Main Girte Faslon Mein Hun In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Na Sath Aa Mere Main Girte Faslon Mein Hun is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Na Sath Aa Mere Main Girte Faslon Mein Hun for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Na Sath Aa Mere Main Girte Faslon Mein Hun in PDF.