Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen

nawah-e-dil mein ye meri misal jalte rahen

KHas-o-gulab nabaat-o-nihaal jalte rahen

kabhi na sard paDe garmi-e-nashat-e-nafas

tamam paikar-e-fikr-o-KHayal jalte rahen

ye jabr-e-waqt hai kaisa ki us ki yaad ke chand

ugen to phir sar-e-shaKH-e-malal jalte rahen

hawa-e-hijr abhi tak hai mahw-e-KHwab kahin

fasil-e-jaan pe charagh-e-visal jalte rahen

yunhi riwayat-e-tir-o-kaman rahe raushan

nuqush-e-wahshat-e-pa-e-ghazal jalte rahen

lage to qasr-e-shab-o-roz mein bhi aag lage

jalen to sadiyon talak mah-o-sal jalte rahen

hum us ki rah mein raushan kiye gae hain so 'ramz'

karen na us se koi arz-e-haal jalte rahen

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen in PDF.