Tairta Mauj-e-hawa Sa Aasmanon Mein Kahin

tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin

ek parinda gum hua unchi uDanon mein kahin

main haqiqat hun kisi kirdar mein mujh ko na Dhaal

log dohraen na mujh ko dastanon mein kahin

raat chup hai ikka-dukka chappuon ke saz par

git koi gunjta hai baadbanon mein kahin

raat zaKHmi ho rahi hai lamha lamha mere sath

phaDphaDate hain parinde aashiyanon mein kahin

fan ki masti dekhna bahar hisar-e-harf se

sochna bahta hai dariya saebanon mein kahin

raudna ghoDe ki Tapon se mera baqi badan

aur sar le ja ke phenk aana chaTanon mein kahin

log yakja kar rahe hain 'ramz' meri KHak ko

dekhna phir mujh ko mere qadr-danon mein kahin

(513) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tairta Mauj-e-hawa Sa Aasmanon Mein Kahin In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Tairta Mauj-e-hawa Sa Aasmanon Mein Kahin is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Tairta Mauj-e-hawa Sa Aasmanon Mein Kahin for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Tairta Mauj-e-hawa Sa Aasmanon Mein Kahin in PDF.