Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai

sulagne rakh ho jaane ka Dar kyun lag raha hai

dahakti aag sa gardan pe sar kyun lag raha hai

lahu se aabyari karne walo kuchh to socho

ye sara bagh be-barg-o-samar kyun lag raha hai

parind-e-fikr par hain saKHt kyun us ki uDanen

musafir aaj be-samt-o-safar kyun lag raha hai

ye kis KHwahish ka madd-o-jazr hain meri nigahen

mujhe sara samundar ek bhanwar kyun lag raha hai

abhi raushan hain kuchh naqsh-o-nigar-e-KHud-farebi

mahl us ki rifaqat ka khanDar kyun lag raha hai

mujhe kis mauj mein laya hai istighraq mera

main jis qatre ko chhuta hun guhar kyun lag raha hai

main hun us par ubharte Dubte manzar mein jaise

idhar jo hone wala tha udhar kyun lag raha hai

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai in PDF.