Shorish-e-KHakistar-e-KHun Ko Hawa Dene Se Kya

shorish-e-KHakistar-e-KHun ko hawa dene se kya

lams aankhon ko badan ka zaiqa dene se kya

ho chuki hai gum sada-e-bazgasht-e-ghaib bhi

pattharon ko ab koi naqsh-e-nawa dene se kya

dhund ki gahri tahon mein sare paikar dafn hain

apni bichhDi saaton ko ab sada dene se kya

ek nihaal-e-KHasta ki surat khaDa hun rah mein

mujh ko aane wali rut ka aasra dene se kya

kaun samjhega mujhe taswir adhuri chhoD dun

rang koi daera-dar-daera dene se kya

ek din kha jaegi mausam ki sangini unhen

KHushbuon ko KHwahish-e-sail-e-saba dene se kya

ban gai hai baiat-e-baatil asas-e-waqat 'ramz'

arsa-e-imkan ko zehn-e-karbala dene se kya

(472) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shorish-e-KHakistar-e-KHun Ko Hawa Dene Se Kya In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Shorish-e-KHakistar-e-KHun Ko Hawa Dene Se Kya is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Shorish-e-KHakistar-e-KHun Ko Hawa Dene Se Kya for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Shorish-e-KHakistar-e-KHun Ko Hawa Dene Se Kya in PDF.