Phir Ek Tir Sambhaala Usne Mujh Pe Nazar Dali

phir ek tir sambhaala us ne mujh pe nazar Dali

aaKHiri neki thi tarkash mein wo bhi kar Dali

Thahro yahin ai qafile walo aaya dasht-e-bala

us ne ye kah ke apne sar par KHak-e-safar Dali

aur koi duniya hai teri jis ki khoj karun

zehn mein phir ek samt bikheri rahguzar Dali

hath hawa ke baDhne lage hain basti ke atraf

dekho us ne chingari ab kis ke ghar Dali

chashm-e-falak ka ek aansu hai gardish karti zamin

kya pesh aaya jo us ne bina-e-dida-e-tar Dali

waqt se puchho waqt se sachcha shahid koi nahin

kis ne tegh uThai ran mein kis ne sipar Dali

main to bas gauhar se KHali ek sadaf hun 'ramz'

mushkil hogi us ne koi baat agar Dali

(558) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ek Tir Sambhaala Usne Mujh Pe Nazar Dali In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Phir Ek Tir Sambhaala Usne Mujh Pe Nazar Dali is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Phir Ek Tir Sambhaala Usne Mujh Pe Nazar Dali for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Phir Ek Tir Sambhaala Usne Mujh Pe Nazar Dali in PDF.